SEARCH RESULTS
Showing search results for "دوران"
Sher MATCHES FOR "دوران"
Sher
mauzuu-e-guftuguu to mirii jaa.n kuchh aur thaa
dauraan-e-guftuguu me.n terii baat aa ga.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
har musiibat kaa diyaa ek tabassum se javaab
is tarah gardish-e-dauraa.n ko rulaayaa mai.n ne
Fani Badayuni
Sher
Ameer Khusrau
Sher
Nushur Wahidi
Sher
kuchh der kisii zulf ke saa.e me.n Thahar jaa.e.n
'qaabil' Gam-e-dauraa.n kii abhii dhuup ka.Dii hai
Qabil Ajmeri
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
naira.ngii-e-siyaasat-e-dauraa.n to dekhiye
manzil unhe.n milii jo shariik-e-safar na the
Mohsin Bhopali
Sher
Gam-e-habiib Gam-e-zindagii Gam-e-dauraa.n
kisii maqaam pe ham jii buraa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
mai-e-hayaat me.n shaamil hai talKHii-e-dauraa.n
jabhii to pii ke taraste hai.n be-KHudii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
shaayad kisii kii yaad kaa mausam phir aa gayaa
pahluu me.n dil kii tarah dha.Dakne lagii hai shaam
Owais Ahmad Dauran
Sher
Saba Akbarabadi
Sher
saaqii mire KHuluus kii shiddat ko dekhnaa
phir aa gayaa huu.n gardish-e-dauraa.n ko Taal kar
Abdul Hamid Adam
Sher
Aleem Akhtar muzaffarnagri
Sher
baiThegaa to ruk jaa.egii ye gardish-e-dauraa.n
tuu KHuu.n kii tarah jism me.n phirne kii adaa siikh
Raghib Dehlvi
Sher
Gam aziizo.n kaa hasiino.n kii judaa.ii dekhii
dekhe.n dikhlaa.e abhii gardish-e-dauraa.n kyaa kyaa
Akhtar Shirani
Sher
ek naGma ik taaraa ek Guncha ek jaam
ai Gam-e-dauraa.n Gam-e-dauraa.n tujhe meraa salaam
Saghar Siddiqui
Sher
hamii.n pe KHatm na kiijiye shikaayat-e-dauraa.n
jo chal pa.Dii hai to phir duur tak ye baat chale
Nasir Kas Ganjui
Sher
roz o shab furqat-e-jaanaa.n me.n basar kii ham ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauraa.n niklaa