SEARCH RESULTS
Showing search results for "دھوپ"
Sher MATCHES FOR "دھوپ"
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
ye kah ke dil ne mire hausle ba.Dhaa.e hai.n
Gamo.n kii dhuup ke aage KHushii ke saa.e hai.n
Mahirul Qadri
Sher
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
shadiid dhuup me.n saare daraKHt suukh ga.e
bas ik du.aa kaa shajar thaa jo be-samar na hu.aa
Aleena Itrat
Sher
ai dopahar kii dhuup bataa kyaa javaab duu.n
diivaar puuchhtii hai ki saaya kidhar gayaa
Ummeed Fazli
Sher
dasht kii dhuup hai jangal kii ghanii raate.n hai.n
is kahaanii me.n bahr haal ka.ii baate.n hai.n
Javed Nasir
Sher
kabhii saaya hai kabhii dhuup muqaddar meraa
hotaa rahtaa hai yuu.n hii qarz baraabar meraa
Athar Nafees
Sher
dopahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye
vo tiraa koThe pe na.nge paa.nv aanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
Kaifi Azmi
Sher
tum to sardii kii hasii.n dhuup kaa chehra ho jise
dekhte rahte hai.n diivaar se jaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
phir yaad bahut aa.egii zulfo.n kii ghanii shaam
jab dhuup me.n saaya ko.ii sar par na milegaa
Bashir Badr
Sher
vo ham-safar thaa magar us se ham-navaa.ii na thii
ki dhuup chhaa.nv kaa aalam rahaa judaa.ii na thii
Naseer Turabi
Sher
jaatii hai dhuup ujle paro.n ko sameT ke
zaKHmo.n ko ab ginuu.ngaa mai.n bistar pe leT ke