SEARCH RESULTS
Showing search results for "دیئے"
Sher MATCHES FOR "دیئے"
Sher
bichha.D ke tujh se na dekhaa gayaa kisii kaa milaap
u.Daa diye hai.n parinde shajar pe baiThe hu.e
Adeem Hashmi
Sher
haq ne tujh ko ik zabaa.n dii aur diye hai.n kaan do
is ke ye ma.anii kahe ik aur sune insaan do
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
apne diye ko chaa.nd bataane ke vaaste
bastii kaa har charaaG bujhaanaa pa.Daa hame.n
Jaleel 'Aali'
Sher
raushnii phailii to sab kaa rang kaalaa ho gayaa
kuchh diye aise jale har-suu a.ndheraa ho gayaa
Azad Gulati
Sher
havaa to hai hii muKHaalif mujhe Daraataa hai kyaa
havaa se puuchh ke ko.ii diye jalaataa hai kyaa
Khurshid Talab
Sher
Iftikhar Naseem
Sher
mahlo.n me.n ham ne kitne sitaare sajaa diye
lekin zamii.n se chaa.nd bahut duur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
Hakeem Manzoor
Sher
ye ehtimaam-e-charaaGaa.n bajaa sahii lekin
sahar to ho nahii.n saktii diye jalaane se
Bashar Nawaz
Sher
usii ke KHvaab the saare usii ko sau.np diye
so vo bhii jiit gayaa aur mai.n bhii haaraa nahii.n
Sarfaraz Khalid
Sher
Noshi Gilani
Sher
vo jis kii raah me.n mai.n ne diye jalaa.e the
gayaa vo shaKHs mujhe chho.D kar a.ndhere me.n
Afzal Allahabadi
Sher
uThte uThte mai.n ne is hasrat se dekhaa hai unhe.n
apnii bazm-e-naaz se mujh ko uThaa kar ro diye
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Aitbar Sajid
Sher
pahle taraashaa kaa.nch se us ne miraa vajuud
phir shahr bhar ke haath me.n patthar thamaa diye