SEARCH RESULTS
Showing search results for "رخصت"
Sher MATCHES FOR "رخصت"
Sher
us ko ruKHsat to kiyaa thaa mujhe ma.aluum na thaa
saaraa ghar le gayaa ghar chho.D ke jaane vaalaa
Nida Fazli
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
ab tum kabhii na aa.oge yaanii kabhii kabhii
ruKHsat karo mujhe ko.ii va.ada kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
is qadar thaa khaTmalo.n kaa chaarpaa.ii me.n hujuum
vasl kaa dil se mire armaan ruKHsat ho gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
Azhar Faragh
Sher
aap kyaa aa.e ki ruKHsat sab andhere ho ga.e
is qadar ghar me.n kabhii bhii raushnii dekhii na thii
Hakeem Nasir
Sher
Parveen Shakir
Sher
shab kii shab ko.ii na sharminda-e-ruKHsat Thahre
jaane vaalo.n ke liye sham.e.n bujhaa dii jaa.e.n
Abbas Tabish
Sher
vaqt-e-ruKHsat alvidaa.a kaa lafz kahne ke liye
vo tire suukhe labo.n kaa thartharaanaa yaad hai
Unknown
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii saath to ik umr kaa hai
dil se ab dard kii ruKHsat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
har tamannaa dil se ruKHsat ho ga.ii
ab to aa jaa ab to KHalvat ho ga.ii
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
Sher
ghar me.n rahaa thaa kaun ki ruKHsat kare hame.n
chaukhaT ko alvidaa.a kahaa aur chal pa.De
Makhmoor Saeedi
Sher
ruKHsat karne ke aadaab nibhaane hii the
band aa.ankho.n se us ko jaataa dekh liyaa hai
Parveen Shakir
Sher
Fatima Hasan
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
zindagii ke saare mausam aa ke ruKHsat ho ga.e
merii aa.nkho.n me.n kahii.n barsaat baaqii rah ga.ii
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
ruKHsat hu.aa vo ashk hamaare nikal aa.e
KHurshiid ke chhupte hii sitaare nikal aa.e