SEARCH RESULTS
Showing search results for "رسائی"
Sher MATCHES FOR "رسائی"
Sher
kuu-e-jaanaa.n me.n na Gairo.n kii rasaa.ii ho jaa.e
apnii jaagiir ye yaa-rab na paraa.ii ho jaa.e
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
merii hairat mirii vahshat kaa pata puuchhtii hai
dekhiye kaun kise pahle rasaa.ii degaa
Ambarin Salahuddin
Sher
KHud-baKHud raah liye jaatii hai us kii jaanib
ab kahaa.n tak hai rasaa.ii mujhe ma.aluum nahii.n
Mohammad Aazam
Sher
pairvii se mumkin hai kab rasaa.ii manzil tak
naqsh-e-paa miTaane ko gard-e-raah kaafii hai
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Anjum Saleemi
Sher
alag siyaasat-e-darbaa.n se dil me.n hai ik baat
ye vaqt merii rasaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
Muneer Shikohabadi
Sher
kuchh milte hai.n ab puKHtagi-e-ishq ke aasaar
naalo.n me.n rasaa.ii hai na aaho.n me.n asar hai
Asghar Gondvi
Sher
us ke dar par to kisii kii bhii rasaa.ii na hu.ii
le ke sayyaad qafas ko jo idhar se guzraa
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ulajh rahaa thaa abhii KHvaab kii fasiil se mai.n
ki naa-rasaa.ii ne ik shab mujhe rasaa.ii dii
Bilal Ahmad
Sher
rah-guzaar-e-ma.arifat tak ho rasaa.ii yaa na ho
jazba--e-pur-shauq kii vaaraftagii kuchh kam nahii.n
Afsar Narvi
Sher
kahkashaa.n chaa.nd sitaare hai.n faqat naqsh-e-qadam
dekhte jaa.o kahaa.n tak hai rasaa.ii merii
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n kinga-e-arsh se par maar ke guzraa
allaah-re rasaa.ii mirii parvaaz to dekho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
to bhii us tak hai rasaa.ii mujhe ehsaa.n dushvaar
daam luu.n gar par-e-jibriil baraa-e-parvaaz
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
tire huzuur mirii fikr kii rasaa.ii kyaa
tire jamaal kaa manzar ho kyaa bayaa.n mujh se