SEARCH RESULTS
Showing search results for "رستگار"
Sher MATCHES FOR "رستگار"
Sher
Meeraji
Sher
duniyaa ne terii yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam rozgaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
tumhaaraa naam aayaa aur ham takne lage rasta
tumhaarii yaad aa.ii aur khi.Dkii khol dii ham ne
Munawwar Rana
Sher
Jamal Ehsani
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
ab yaad-e-raftagaa.n kii bhii himmat nahii.n rahii
yaaro.n ne kitnii duur basaa.ii hai.n bastiyaa.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
inqalaab aa.egaa raftaar se maayuus na ho
bahut aahista nahii.n hai jo bahut tez nahii.n
Ali Sardar Jafri
Sher
hausla hai to safiino.n ke alam lahraa.o
bahte dariyaa to chale.nge isii raftaar ke saath
Shahzad Ahmad
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ilaahii ek Gam-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
raste me.n mil gayaa to shariik-e-safar na jaan
jo chhaa.nv mehrbaa.n ho use apnaa ghar na jaan
Parveen Shakir
Sher
mushkil ko samajhne kaa vasiila nikal aataa
tum baat to karte ko.ii rasta nikal aataa
Ambar Kharbanda
Sher
itnaa na apne jaame se baahar nikal ke chal
duniyaa hai chal-chalaav kaa rasta sambhal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Sher
vaqt ruk ruk ke jinhe.n dekhtaa rahtaa hai 'saliim'
ye kabhii vaqt kii raftaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Sher
zaalim ne kyaa nikaalii raftaar rafta rafta
is chaal par chalegii talvaar rafta rafta