SEARCH RESULTS
Showing search results for "رشتۂ_زنار"
Sher MATCHES FOR "رشتۂ_زنار"
Sher
kyaa khaa.e.n ham vafaa me.n ab iimaan kii qasam
jab taar-e-sub.ha rishta-e-zunnaar ho chukaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
teraa kuucha hai vo ai but ki hazaaro.n zaahid
Daal ke sub.ha me.n yaa.n rishta-e-zunnaar chale
Habeeb Moosavi
Sher
ahd-e-miisaaq kaa laazim hai adab ai vaa.iz
hai ye paimaan-e-vafaa rishta-e-zunnaar na to.D
Sahir Dehlavi
Sher
Gaur kar dekho to ye ik taar kaa bistaar hai
rishta-e-tasbiih aur sar-rishta-e-zunnaar band
Waliullah Muhib
Sher
Unknown
Sher
hai rishta ek phir ye kashaakash na chaahiye
achchhaa nahii.n hai sub.ha kaa zunnaar se bigaa.D
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
zaahid tiraa to diin saraasar fareb hai
rishte se tere sub.ha ke zunnaar hii bhalaa
Taban Abdul Hai
Sher
sar-rishta kufr-o-dii.n kaa haqiiqat me.n ek hai
jo taar-e-sub.ha hai so hai zunnaar dekhnaa
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
ba-ma.anii kufr se islaam kab KHaalii hai ai zaahid
nikal sub.he se rishta suurat-e-zunnaar ho paidaa
Waliullah Muhib
Sher
dii.n se paidaa kufr hai aur nuur shakl-e-naar hai
rishta jab sub.he se niklaa suurat-e-zunnaar hai