SEARCH RESULTS
Showing search results for "رنجش_بے_جا"
Sher MATCHES FOR "رنجش_بے_جا"
Sher
ik mashGala Thahrii hai tumhe.n ranjish-e-bejaa
ik khel hu.aa tum ko sataanaa mire dil kaa
Syed Zaheeruddin Madni
Sher
mehrbaanii ko mohabbat nahii.n kahte ai dost
aah ab mujh se tirii ranjish-e-bejaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
aa.iina dekh ke ye dekh sa.nvarne vaale
tujh pe bejaa to nahii.n marte ye marne vaale
Dagh Dehlvi
Sher
shikva sayyaad kaa bejaa hai qafas me.n bulbul
yaa.n tujhe aap tiraa tarz-e-fuGaa.n laayaa hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
tum chaaho to do lafzo.n me.n tai hote hai.n jhag.De
kuchh shikve hai.n bejaa mire kuchh uzr tumhaare
Asar Rampuri
Sher
Mohammad Yasir Mustafvi
Sher
ab ai KHudaa inaayat-e-bejaa se faa.eda
maanuus ho chuke hai.n Gam-e-jaavedaa.n se ham
Josh Malihabadi
Sher
Abu Mohammad Sahar
Sher
laa.e kahaa.n se us ruKH-e-raushan kii aab-o-taab
bejaa nahii.n jo sharm se hai aab aab sham.a
Ameer Minai
Sher
jalva-e-yaar se kyaa shikva-e-bejaa kiije
shauq-e-diidaar kaa aalam vo kahaa.n hai ki jo thaa
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
Gam-e-firaaq me.n takliif-e-sair-e-baaG na do
mujhe dimaaG nahii.n KHanda-haa-e-bejaa kaa
Mirza Ghalib
Sher
mohabbat kaa un ko yaqii.n aa chalaa hai
haqiiqat bane jaa rahe hai.n fasaane
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
bas jaan gayaa mai.n tirii pahchaan yahii hai
tuu dil me.n to aataa hai samajh me.n nahii.n aataa
Akbar Allahabadi
Sher
'KHaalid' mai.n baat baat pe kahtaa thaa jis ko jaan
vo shaKHs aaKHirash mujhe be-jaan kar gayaa