SEARCH RESULTS
Showing search results for "رہنمائی"
Sher MATCHES FOR "رہنمائی"
Sher
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaa.ii kii
ravaa.n hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-KHayaal
Yaqoob Usmani
Sher
KHudaa mahfuuz rakkhe intishaar-e-rahnumaa.ii se
isii manzil pe aa ke aadmii diivaana hotaa hai
Matin Niazi
Sher
daraKHt haath hilaate the rahnumaa.ii ko
musaafiro.n ne to kuchh bhii nahii.n kahaa mujh se
Iqbal Ashhar Quraishi
Sher
uThaa ke haath du.aa maa.ngne lage hai.n charaaG
to kar rahii hai bhalaa kaisii rahnumaa.ii sabaa
A.R Sahil 'Aleeg'
Sher
zamaana jin kii qayaadat me.n gaamzan thaa vo log
bhaTak ga.e tirii aa.nkho.n kii rahnumaa.ii me.n
Shehzad Anjum Burhani
Sher
Iftikhar Arif
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
mai.n ek se kisii mausam me.n rah nahii.n saktaa
kabhii visaal kabhii hijr se rihaa.ii de
Obaidullah Aleem
Sher
maut bhii duur bahut duur kahii.n phirtii hai
kaun ab aa ke asiiro.n ko rihaa.ii degaa
Mohammad Alvi
Sher
paa-ba-gil sab hai.n rihaa.ii kii kare tadbiir kaun
dast-basta shahr me.n khole mirii zanjiir kaun
Parveen Shakir
Sher
mire KHudaa ne kiyaa thaa mujhe asiir-e-bahisht
mire gunah ne rihaa.ii mujhe dilaa.ii hai
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
hotii hai shaam aa.nkh se aa.nsuu ravaa.n hu.e
ye vaqt qaidiyo.n kii rihaa.ii kaa vaqt hai
Ahmad Mushtaq
Sher
kyaa usii kaa naam hai ra.anaa.ii-e-bazm-e-hayaat
ta.ng kamra sard bistar aur tanhaa aadmii
Chandrabhan Khayal
Sher
jaada jaada chho.D jaa.o apnii yaado.n ke nuquush
aane vaale kaarvaa.n ke rahnumaa ban kar chalo