SEARCH RESULTS
Showing search results for "زدن"
Sher MATCHES FOR "زدن"
Sher
mizhgaa.n-zadan se kam hai zamaan-e-namaaz-e-ishq
ho jaave faut vaqt hii jab tak vazuu kare.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
ham Gam-zada hai.n laa.e.n kahaa.n se KHushii ke giit
de.nge vahii jo paa.e.nge is zindagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
hamaare aage tiraa jab kisuu ne naam liyaa
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
vajuud-e-zan se hai tasviir-e-kaa.enaat me.n ra.ng
isii ke saaz se hai zindagii kaa soz-e-daruu.n
Allama Iqbal
Sher
sabaq milaa hai ye meraaj-e-mustafaa se mujhe
ki aalam-e-bashariiyat kii zad me.n hai garduu.n
Allama Iqbal
Sher
tuu itnii dil-zada to na thii ai shab-e-firaaq
aa tere raaste me.n sitaare luTaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
apne vahshat-zada kamre kii ik almaarii me.n
terii tasviir aqiidat se sajaa rakkhii hai
Kausar Niyazi
Sher
hai.n pattharo.n kii zad pe tumhaarii galii me.n ham
kyaa aa.e the yahaa.n isii barsaat ke liye
Anwar Shuoor
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
dil ek aur hazaar aazmaa.ishe.n Gam kii
diyaa jalaa to thaa lekin havaa kii zad par thaa
Mushfiq Khwaja
Sher
ek musht-e-KHaak aur vo bhii havaa kii zad me.n hai
zindagii kii bebasii kaa isti.aara dekhnaa
Parveen Shakir
Sher
aa.iina dil kaa to.D ke kahtaa hai sa.ng-zan
dil teraa to.D kar mujhe achchhaa nahii.n lagaa