SEARCH RESULTS
Showing search results for "ساجن"
Sher MATCHES FOR "ساجن"
Sher
Ibn e Insha
Sher
sajnii kii aa.nkho.n me.n chhup kar jab jhaa.nkaa
bin holii khele hii saajan bhiig gayaa
Musavvir Sabzwari
Sher
Anwar Aleemi
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
suuraj huu.n zindagii kii ramaq chho.D jaa.uu.ngaa
mai.n Duub bhii gayaa to shafaq chho.D jaa.uu.ngaa
Iqbal Sajid
Sher
vo chaa.nd hai to aks bhii paanii me.n aa.egaa
kirdaar KHud ubhar ke kahaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Sher
pyaaso raho na dasht me.n baarish ke muntazir
maaro zamii.n pe paa.nv ki paanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Sher
kisii ko saal-e-nau kii kyaa mubaarakbaad dii jaa.e
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
Aitbar Sajid
Sher
ghar kii is baar mukammal mai.n talaashii luu.ngaa
Gam chhupaa kar mire maa.n baap kahaa.n rakhte the
Sajid Jawed Sajid
Sher
ek hii shahr me.n rahnaa hai magar milnaa nahii.n
dekhte hai.n ye aziyyat bhii gavaara kar ke
Aitbar Sajid
Sher
talaaq de to rahe ho itaab-o-qahr ke saath
miraa shabaab bhii lauTaa do merii mahr ke saath
Sajid Sajni Lakhnawi
Sher
ab to KHud apnii zaruurat bhii nahii.n hai ham ko
vo bhii din the ki kabhii terii zaruurat ham the
Aitbar Sajid
Sher
phuul the rang the lamho.n kii sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine kii alaamat ham the