SEARCH RESULTS
Showing search results for "سازگار"
Sher MATCHES FOR "سازگار"
Sher
na aayaa Gam bhii mohabbat me.n saazgaar mujhe
vo KHud ta.Dap ga.e dekhaa jo be-qaraar mujhe
Asad Bhopali
Sher
jigar ke daaG dikhaane se faa.eda kyaa hai
abhii zamaane ke haalaat saazgaar nahii.n
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
tumhaare ghar kii fazaa saazgaar hai shaayad
tum apnii umr se chhoTe dikhaa.ii dete ho
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
raabta laakh sahii qaafila-saalaar ke saath
ham ko chalnaa hai magar vaqt kii raftaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
baadbaa.n naaz se lahraa ke chalii baad-e-muraad
kaarvaa.n eid manaa qaafila-saalaar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
us ne hamaare zaKHm kaa kuchh yuu.n kiyaa ilaaj
marham bhii gar lagaayaa to kaa.nTo.n kii nok se
Iftikhar Sagar
Sher
bazm me.n aa.o kisii din kar ke tum sola-si.ngaar
ik qayaamat vaqt se pahle bhii aanaa chaahiye
Murad Lakhnavi
Sher
uf gardish-e-hayaat tirii fitna-saaziyaa.n
apne vatan me.n duur hai.n ahl-e-vatan se ham
Wahid Premi
Sher
safiine Duub ga.e kitne dil ke saagar me.n
KHudaa kare tirii yaado.n kii naav chaltii rahe
Hasan Akhtar Jaleel
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
paka.Dne vaale hai.n sab KHeme aag aur behosh
pa.De hai.n qaafila-saalaar mish.alo.n ke qariib
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
thak ga.e ham to fusuu.n-saaziyaa.n karte karte
us pe chaltaa nahii.n mutlaq ko.ii ganDaa ta.aviiz
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
misaal-e-aa.ina ham jab se hairatii hai.n tire
ki jin dino.n me.n na thaa tuu si.ngaar se vaaqif
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Badr Muneer
Sher
aah ye chaara-saaziyaa.n haa.e ye be-niyaaziyaa.n
sab se nazar milii hu.ii sab se magar alag alag
Syed Masood Hasan Masood
Sher
aap saagar hai.n to sairaab kare.n pyaase ko
aap baadal hai.n to mujh dasht pe saayaa kiijiye