SEARCH RESULTS
Showing search results for "سرخی"
Sher MATCHES FOR "سرخی"
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
dho ke tuu meraa lahuu apne hunar ko na chhupaa
ki ye surKHii tirii shamshiir kaa jauhar hii to hai
Zeb Ghauri
Sher
na hogaa raa.egaa.n KHuun-e-shahiidaan-e-vatan hargiz
yahii surKHii banegii ek din unvaan-e-aazaadii
Nazish Partap Gadhi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
mai-KHaana salaamat hai to ham surKHii-e-mai se
taz.iin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
yuu.n hai Dalak badan kii us pairahan kii tah me.n
surKHii badan kii jaise chhalke badan kii tah me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
Safeer Bilgrami
Sher
Majid-ul-Baqri
Sher
be-kaar hai be-ma.anii hai aKHbaar kii surKHii
likkhaa hai jo diivaar pe vo Gaur-talab hai
Khalid Siddiqui
Sher
Meer Mohammadi Bedar
Sher
na surKHii Guncha-e-gul me.n tire dahan kii sii
na yaasman me.n safaa.ii tire badan kii sii
Nazeer Akbarabadi
Sher
naaKHun kaa rang siina-KHaraashii se ye hu.aa
surKHii shafaq se aatii hai jaise hilaal par
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
Raunaq Naeem
Sher
Faiyaz Aswad
Sher
ye aks-e-aab hai yaa is kaa daaman-e-ra.ngii.n
ajiib tarah kii surKHii sii baadbaan me.n hai
Akbar Hameedi
Sher
Meem Maroof Ashraf
Sher
mai.n us ko chuumtaa rahtaa thaa is saliiqe se
ki mere ho.nT pe surKHii na aa.e gaalo.n kii