SEARCH RESULTS
Showing search results for "سرسری"
Sher MATCHES FOR "سرسری"
Sher
nursery kaa daaKHila bhii sarsarii mat jaaniye
aap ke bachche ko aflaatuun honaa chaahiye
Anwar Masood
Sher
mire jurm-e-vafaa kaa faisla kuchh is tarah hogaa
sazaa kaa hukm faurii aur samaa.at sarsarii hogii
Iqbal Azeem
Sher
jahaan-e-ishq se ham sarsarii nahii.n guzre
ye vo jahaa.n hai jahaa.n sarsarii nahii.n ko.ii shai
Ahmad Mushtaq
Sher
tamaasha-gaah-e-jahaa.n me.n majaal-e-diid kise
yahii bahut hai agar sarsarii guzar jaa.e.n
Ahmad Mushtaq
Sher
ye kiran kahii.n mire dil me.n aag lagaa na de
ye mu.aa.ina mujhe sarsarii nahii.n lag rahaa
Idris Babar
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
sarsarii 'miir' kaa diivaan nahii.n khultaa hai
muKHtasar khulne me.n insaan nahii.n khultaa hai
Ashu Mishra
Sher
bhulaa diyaa bhii agar jaa.e sarsarii kiyaa jaa.e
mutaale.a mirii vahshat kaa laazmii kiyaa jaa.e
Hammad Niyazi
Sher
ik nazar sarsarii do chaar zaruurii baate.n
ghar me.n rakkhaa ko.ii aKHbaar samajhtaa hai mujhe
Fatima Mehru
Sher
Mahwar Sirsivi
Sher
muskuraataa huu.n to rotaa hai miraa zaKHm-e-jigar
rone lagtaa huu.n to ho.nTo.n ko chubhan hotii hai
Mahwar Sirsivi
Sher
aap ne eid mubaarak to kahaa hai lekin
aap ne eid manaane kii ijaazat nahii.n dii
Mahwar Sirsivi
Sher
ulfat to dekhiye mirii diidaar ke sabab
darvesh ban ke yaar kii chaukhaT pe aa gayaa
Mahwar Sirsivi
Sher
zavaal ye hai ki ham zindagii se haar ga.e
kamaal ye hai ki ham zindagii guzaar ga.e