SEARCH RESULTS
Showing search results for "سرے"
Sher MATCHES FOR "سرے"
Sher
Allama Iqbal
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
hame.n to sham.a ke dono.n sire jalaane hai.n
Gazal bhii kahnii hai shab ko basar bhii karnaa hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
na.e sire se jal uTThii hai phir puraanii aag
ajiib lutf tujhe bhuulne me.n aayaa hai
Jamal Ehsani
Sher
so apne haath se dii.n bhii gayaa hai duniyaa bhii
ki ik sire ko paka.Dte to duusraa jaataa
Aftab Hussain
Sher
asaas-e-jism uThaa.uu.n na.e sire se magar
ye sochtaa huu.n ki miTTii mirii KHaraab to ho
Aftab Hussain
Sher
Nazm Tabatabai
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii
Ahmad Faraz
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n