SEARCH RESULTS
Showing search results for "سفید"
Sher MATCHES FOR "سفید"
Sher
jab us kii zulf me.n pahlaa safed baal aayaa
tab us ko pahlii mulaaqaat kaa KHayaal aayaa
Shahzad Ahmad
Sher
kap.De safed dho ke jo pahne to kyaa hu.aa
dhonaa vahii jo dil kii siyaahii ko dho.iye
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
safed-poshii-e-dil kaa bharam bhii rakhnaa hai
tirii KHushii ke liye teraa Gam bhii rakhnaa hai
Fazil Jamili
Sher
hame.n buraa nahii.n lagtaa safed kaaGaz bhii
ye titliyaa.n to tumhaare liye banaate hai.n
Nomaan Shauque
Sher
dil siyah hai baal hai.n sab apne piirii me.n safed
ghar ke andar hai a.ndheraa aur baahar chaa.ndnii
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ghar mire shab ko jo vo rashk-e-qamar aa niklaa
ho ga.e partav-e-ruKH se dar o diivaar safed
Amanat Lakhnavi
Sher
Danish Naqwi
Sher
siirat ke ham Gulaam hai.n suurat hu.ii to kyaa
surKH o safed miTTii kii muurat hu.ii to kyaa
Bayan Ahsanullah Khan
Sher
umr juu.n juu.n ba.Dhtii hai dil javaan hotaa hai
'raaz' ye hasii.n Gazle.n in safed baalo.n me.n
Raaz Allahabadi
Sher
fasaad, qatl, ta.assub, fareb, makkaarii
safed-posho.n kii baate.n hai.n kyaa bataa.uu.n mai.n
Mujahid Faraaz
Sher
kaalii ghaTaa kab aa.egii fasl-e-bahaar me.n
aa.nkhe.n safed ho ga.ii.n is intizaar me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
duniyaa kaa KHuun daur-e-mohabbat me.n hai safed
aavaaz aa rahii hai lab-e-juu-e-shiir se
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
piirii me.n 'riyaaz' ab bhii javaanii ke maze hai.n
ye riish-e-safed aur mai-e-hosh-rubaa surKH
Riyaz Khairabadi
Sher
naira.ngiyaa.n falak kii jabhii hai.n ki ho.n baham
kaalii ghaTaa safed pyaale sharaab-e-surKH
Bayan Meeruthi
Sher
shab-e-hijraa.n kyaa siyaahii na hu.ii roz-e-safed
ye varaq tuu ne na ai gardish-e-ayyaam ulTaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHuub-ruu.ii pe hai kyaa naaz butaan-e-london
hai.n faqat ruu.ii ke gaalo.n kii tarah gaal safed