SEARCH RESULTS
Showing search results for "سلونے"
Sher MATCHES FOR "سلونے"
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
tanhaa.iyaa.n tumhaaraa pata puuchhtii rahii.n
shab-bhar tumhaarii yaad ne sone nahii.n diyaa
Unknown
Sher
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taala-e-bedaar ne sone na diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
mujh se kyaa baat likhaanii hai ki ab mere liye
kabhii sone kabhii chaa.ndii ke qalam aate hai.n
Bashir Badr
Sher
Ameer Minai
Sher
Gam-e-firaaq ko siine se lag ke sone do
shab-e-taviil kii hogii sahar kabhii na kabhii
Karamat Ali Karamat
Sher
bhiigii hu.ii ik shaam kii dahliiz pe baiThe
ham dil ke sulagne kaa sabab soch rahe hai.n
Shakeb Jalali
Sher
kartaa huu.n niind me.n hii safar saare shahr kaa
faariG to baiThtaa nahii.n sone ke baavajuud
Zafar Iqbal
Sher
KHud hii uchhaaluu.n patthar KHud hii sar par le luu.n
jab chaahuu.n suune mausam se manzar le luu.n
Kaifi Wijdani
Sher
dillii hu.ii hai viiraa.n suune kha.nDar pa.De hai.n
viiraan hai.n mohalle sunsaan ghar pa.De hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab us maqaam pe hai mausamo.n kaa sard mizaaj
ki dil sulagne lage aur dimaaG jalne lage
Farhan Salim
Sher
pahle to us kii yaad ne sone nahii.n diyaa
phir us kii aahaTo.n ne kahaa jaagte raho
Mansoor Usmani
Sher
sone se jaagne kaa ta'alluq na thaa ko.ii
sa.Dko.n pe apne KHvaab liye bhaagte rahe
Aashufta Changezi
Sher
Munawwar Rana
Sher
KHvaab hii me.n nazar aa jaa.e shab-e-hijr kahii.n
so mujhe hasrat-e-diidaar ne sone na diyaa