SEARCH RESULTS
Showing search results for "سنما"
Sher MATCHES FOR "سنما"
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
Gairo.n se kahaa tum ne Gairo.n se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
Aasi uldani
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
har ek baat ko chup-chaap kyuu.n sunaa jaa.e
kabhii to hausla kar ke nahii.n kahaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
mai.n boltaa gayaa huu.n vo suntaa rahaa KHaamosh
aise bhii merii haar hu.ii hai kabhii kabhii
Waseem Barelvi
Sher
sunaa hai hame.n vo bhulaane lage hai.n
to kyaa ham unhe.n yaad aane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
Javed Akhtar
Sher
sunaa hai log use aa.nkh bhar ke dekhte hai.n
so us ke shahr me.n kuchh din Thahar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhii sunaa hogaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Dte hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
gunaah gin ke mai.n kyuu.n apne dil ko chhoTaa karuu.n
sunaa hai tere karam kaa ko.ii hisaab nahii.n
Yagana Changezi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
naala-e-bulbul-e-shaidaa to sunaa ha.ns ha.ns kar
ab jigar thaam ke baiTho mirii baarii aa.ii