SEARCH RESULTS
Showing search results for "سنکی"
Sher MATCHES FOR "سنکی"
Sher
ilaaj ye hai ki majbuur kar diyaa jaa.uu.n
vagarna yuu.n to kisii kii nahii.n sunii mai.n ne
Jaun Eliya
Sher
ik umr kaT ga.ii hai tire intizaar me.n
aise bhii hai.n ki kaT na sakii jin se ek raat
Firaq Gorakhpuri
Sher
ek hii haadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahii.n kahii ga.ii baat nahii.n sunii ga.ii
Jaun Eliya
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
tujh ko paa kar bhii na kam ho sakii be-taabii-e-dil
itnaa aasaan tire ishq kaa Gam thaa hii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
likhne ko likh rahe hai.n Gazab kii kahaaniyaa.n
likkhii na jaa sakii magar apnii hii daastaa.n
Ibn-e-Safi
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
mu.aaf kar na sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamha ki mai.n tujh se ta.ng aayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
zindagii KHud ko na is ruup me.n pahchaan sakii
aadmii lipTaa hai KHvaabo.n ke kafan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Iqbal Sajid
Sher
Unknown
Sher
merii aa.nkho.n hii me.n the an-kahe pahluu us ke
vo jo ik baat sunii merii zabaanii tum ne
Mukhtar Siddiqui
Sher
umr-bhar ke sajdo.n se mil nahii.n sakii jannat
KHuld se nikalne ko ik gunaah kaafii hai