SEARCH RESULTS
Showing search results for "سنگ_دل"
Sher MATCHES FOR "سنگ_دل"
Sher
havaa KHafaa thii magar itnii sa.ng-dil bhii na thii
hamii.n ko sham.a jalaane kaa hausla na hu.aa
Qaisarul Jafri
Sher
vo sa.ng-dil a.ngusht-ba-dandaa.n nazar aave
aisaa ko.ii sadma mirii jaa.n par nahii.n hotaa
Qalaq Merathi
Sher
shaayad vo sa.ng-dil ho kabhii maa.il-e-karam
suurat na de yaqiin kii is ehtimaal ko
Sahba Akhtar
Sher
tujh hijr kii agan kuu.n buujhaane ai sang dil
ko.ii aab-zan-rafiiq ba-juz chashm-e-tar nahii.n
Mirza Daood Beg
Sher
Soz Hoshiarpuri
Sher
us sa.ng-dil ke hijr me.n chashmo.n ko apne aah
maanind-e-aabshaar kiyaa ham ne kyaa kiyaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
kartaa hai kyaa ye mohtasib-e-sa.ng-dil Gazab
shiisho.n ke saath dil na kahii.n chuur chuur ho.n
Haidar Ali Aatish
Sher
masto.n kaa dil hai shiisha aur sa.ng-dil hai saaqii
achraj hai jo na TuuTe patthar se aabgiina
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
us sa.ng-dil ke dil me.n to naale ne jaa na kii
kyaa faa.eda jo aur ke jii me.n asar kiyaa
Sayyad Mohammad Meer Asar
Sher
KHud apnii aag se shaayad gudaaz ho jaa.e.n
paraa.ii aag se kab sa.ng-dil pighalte hai.n
Shakeb Jalali
Sher
ik terii be-ruKHii se zamaana KHafaa hu.aa
ai sa.ng-dil tujhe bhii KHabar hai ki kyaa hu.aa
Arsh Siddiqui
Sher
kaafir huu.n gar mai.n naam bhii ka.abe kaa luu.n kabhii
vo sa.ng-dil sanam jo kabhuu mujh se raam ho
Waliullah Muhib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
unho.n ne apne mutaabiq sazaa sunaa dii hai
hame.n sazaa ke mutaabiq bayaan denaa hai
Charagh Sharma
Sher
ishq ko naGma-e-ummiid sunaa de aa kar
dil kii so.ii hu.ii qismat ko jagaa de aa kar