SEARCH RESULTS
Showing search results for "سچ"
Sher MATCHES FOR "سچ"
Sher
mai.n sach kahuu.ngii magar phir bhii haar jaa.uu.ngii
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
Parveen Shakir
Sher
kaise kah duu.n ki mujhe chho.D diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
saadiq huu.n apne qaul kaa 'Gaalib' KHudaa gavaah
kahtaa huu.n sach ki jhuuT kii aadat nahii.n mujhe
Mirza Ghalib
Sher
jhuuT vaale kahii.n se kahii.n ba.Dh ga.e
aur mai.n thaa ki sach boltaa rah gayaa
Waseem Barelvi
Sher
zahr miiThaa ho to piine me.n mazaa aataa hai
baat sach kahiye magar yuu.n ki haqiiqat na lage
Fuzail Jafri
Sher
aziiz-tar mujhe rakhtaa hai vo rag-e-jaa.n se
ye baat sach hai miraa baap kam nahii.n maa.n se
Tahir Shaheer
Sher
itnaa sach bol ki ho.nTo.n kaa tabassum na bujhe
raushnii KHatm na kar aage a.ndheraa hogaa
Nida Fazli
Sher
Ada Jafarey
Sher
Zeb Ghauri
Sher
shikast-e-zindagii vaise bhii maut hii hai naa
tuu sach bataa ye mulaaqaat aaKHrii hai naa
Afzal Khan
Sher
ye samajh ke maanaa hai sach tumhaarii baato.n ko
itne KHuub-suurat lab jhuuT kaise bole.nge
Shahzad Ahmad
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai