SEARCH RESULTS
Showing search results for "شان"
Sher MATCHES FOR "شان"
Sher
ba.Dii talaash se miltii hai zindagii ai dost
qazaa kii tarah pataa puuchhtii nahii.n aatii
Shaanul Haq Haqqi
Sher
tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate
varna ham ko bhii tamannaa thii ki chaahe jaate
Shaanul Haq Haqqi
Sher
tanhaa vo aa.e.n jaa.e.n ye hai shaan ke KHilaaf
aanaa hayaa ke saath hai jaanaa adaa ke saath
Jaleel Manikpuri
Sher
tujh ko dekhaa na tire naaz-o-adaa ko dekhaa
terii har tarz me.n ik shaan-e-KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
ham tire KHvaabo.n kii jannat se nikal kar aa ga.e
dekh teraa qasr-e-aalii-shaan KHaalii kar diyaa
Aitbar Sajid
Sher
Nooh Narvi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
raaho.n me.n jaan ghar me.n charaaGo.n se shaan hai
diipaavlii se aaj zamiin aasmaan hai
Obaid Azam Azmi
Sher
is shaan se lauTe hai.n ga.nvaa kar dil-o-jaa.n ham
is taur to haare hu.e lashkar nahii.n aate
Mohsin Naqvi
Sher
ka.abe ko jaataa kis liye hindostaa.n se mai.n
kis but me.n shahr-e-hind ke shaan-e-KHudaa na thii
Rind Lakhnavi
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
Zafar Iqbal
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
shikastagii me.n bhii kyaa shaan hai imaarat kii
ki dekhne ko ise sar uThaanaa pa.Dtaa hai
Azhar Inayati
Sher
kyaa ajab log the guzre hai.n ba.Dii shaan ke saath
raaste chup hai.n magar naqsh-e-qadam bolte hai.n