SEARCH RESULTS
Showing search results for "شہاب"
Sher MATCHES FOR "شہاب"
Sher
chale to paa.nv ke niiche kuchal ga.ii ko.ii shai
nashe kii jho.nk me.n dekhaa nahii.n ki duniyaa hai
Shahab Jafri
Sher
Shahab Jafri
Sher
zehn me.n yaad ke ghar TuuTne lagte hai.n 'shahaab'
log ho jaate hai.n jii jii ke puraane kitne
Mustafa Shahab
Sher
aisaa bhii kabhii ho mai.n jise KHvaab me.n dekhuu.n
jaaguu.n to vahii KHvaab kii ta.abiir bataa.e
Mustafa Shahab
Sher
go tark-e-ta.alluq me.n bhii shaamil hai.n ka.ii dukh
be-kaif ta'alluq ke bhii aazaar bahut hai.n
Mustafa Shahab
Sher
Mustafa Shahab
Sher
Mustafa Shahab
Sher
paa.nv jab simTe to raste bhii hu.e takiya-nashii.n
boriyaa jab tah kiyaa duniyaa uThaa kar le ga.e
Shahab Jafri
Sher
shaayad vo bhuulii-bisrii na ho aarzuu ko.ii
kuchh aur bhii kamii sii hai terii kamii ke saath
Mustafa Shahab
Sher
mai.n aur meraa shauq-e-safar saath hai.n magar
ye aur baat hai ki safar ho ga.e tamaam
Mustafa Shahab
Sher
qalandarii mirii puuchho ho dostaan-e-junuu.n
har aastaa.n mirii Thokar se jaanaa jaataa hai
Shahab Jafri
Sher
bichh.Daa vo mujh se aaise na bichh.De kabhii ko.ii
ab yuu.n milaa hai jaise vo pahle milaa na ho
Mustafa Shahab
Sher
hote hote mai.n pahu.nch jaataa huu.n apne aap tak
is se aage aur ko.ii raasta jaataa nahii.n
Mustafa Shahab
Sher
Mustafa Shahab
Sher
dar kunj-e-sadaa-band kaa khole.nge kisii roz
ham log jo KHaamosh hai.n bole.nge kisii roz