SEARCH RESULTS
Showing search results for "صائب"
Sher MATCHES FOR "صائب"
Sher
milii to un se magar fursat-e-nazar na milii
phir us ke baa'd KHud apnii hame.n KHabar na milii
Saib Tonki
Sher
aa tujhe merii qasam mushkil mirii aasaan kar
ziist kaa har marhala dushvaar hai tere baGair
Saib Tonki
Sher
nigaah me.n ko.ii manzil na ko.ii samt-e-safar
havaa KHamosh hai kashtii kaa baadbaa.n chup hai
Saib Tonki
Sher
qadam ba.Dhaa ki abhii duur hai tirii manzil
shikast-e-aabla-paa.ii hai KHaar kii had tak
Saib Tonki
Sher
miraa maqaam har ik dil me.n hai judaagaana
agar yaqiin nahii.n huu.n to ehtimaal huu.n mai.n
Saib Tonki
Sher
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
aa.iina dekh apnaa saa mu.nh le ke rah ga.e
saahab ko dil na dene pe kitnaa Guruur thaa
Mirza Ghalib
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
kahii.n zamii.n se ta'alluq na KHatm ho jaa.e
bahut na KHud ko havaa me.n uchhaaliye saahib
Rajendra Nath Rahbar
Sher
aa.nkhe.n dikhlaate ho joban to dikhaa.o saahab
vo alag baa.ndh ke rakkhaa hai jo maal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
tujhe kitaab se mumkin nahii.n faraaG ki tuu
kitaab-KHvaa.n hai magar saahib-e-kitaab nahii.n
Allama Iqbal
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
dil diyaa jis ne kisii ko vo hu.aa saahib-e-dil
haath aa jaatii hai kho dene se daulat dil kii