SEARCH RESULTS
Showing search results for "صحبت"
Sher MATCHES FOR "صحبت"
Sher
Ismail Merathi
Sher
paidaa kahaa.n hai.n aise paraaganda-tab.a log
afsos tum ko 'miir' se sohbat nahii.n rahii
Meer Taqi Meer
Sher
mai.n be-hunar thaa magar sohbat-e-hunar me.n rahaa
shu.uur baKHshaa hama-ra.ng mahfilo.n ne mujhe
Nasir Zaidi
Sher
tuu mire sabr kaa andaaza lagaa saktaa hai
terii sohbat me.n tiraa hijr guzaaraa hai miyaa.n
Anjum Saleemi
Sher
guzre jo apne yaaro.n kii sohbat me.n chaar din
aisaa lagaa basar hu.e jannat me.n chaar din
A G Josh
Sher
aarzuu hai suuraj ko aa.ina dikhaane kii
raushnii kii sohbat me.n ek din guzaaraa hai
Iqbal Ashhar
Sher
sohbat me.n Gair kii na pa.Dii ho kahii.n ye KHuu
dene lagaa hai bosa baGair iltijaa kiye
Mirza Ghalib
Sher
daaG-e-firaaq-e-sohbat-e-shab kii jalii hu.ii
ik sham.a rah ga.ii hai so vo bhii KHamosh hai
Mirza Ghalib
Sher
sohbat me.n jaahilo.n kii guzaare the chand roz
phir ye hu.aa mai.n vaaqif-e-aadaab ho gayaa
Obaidur Rahman
Sher
dil lene ke andaaz bhii kuchh siikh gayaa huu.n
sohbat me.n hasiino.n kii bahut roz rahaa huu.n
Kaifi Hyderabadi
Sher
guzrii hai raat mujh me.n aur dil me.n turfa sohbat
iidhar to mai.n ne kii aah uudhar se vo karaahaa
Meer Hasan
Sher
sohbat-e-vasl hai masduud hai.n dar haa.e hijaab
nahii.n maaluum ye kis aah se sharam aatii hai
Shad Lakhnavi
Sher
abas in shahriyo.n me.n vaqt apnaa ham kiye zaa.e
kisii majnuu.n kii sohbat baiTh diivaane hu.e hote
Siraj Aurangabadi
Sher
umiid hai hame.n fardaa ho yaa pas-e-fardaa
zaruur ho.egii sohbat vo yaar baaqii hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
adam vaalo.n kii sohbat se bhii nafrat ho ga.ii ab to
ko.ii viiraana ab suu-e-adam aabaad karte hai.n