SEARCH RESULTS
Showing search results for "صدی"
Sher MATCHES FOR "صدی"
Sher
tahziib ke libaas utar jaa.e.nge janaab
dollar me.n yuu.n nachaa.egii ikkiisvii.n sadii
Bashir Badr
Sher
phir se KHudaa banaa.egaa ko.ii nayaa jahaa.n
duniyaa ko yuu.n miTaa.egii ikkiisvii.n sadii
Bashir Badr
Sher
insaan ho kisii bhii sadii kaa kahii.n kaa ho
ye jab uThaa zamiir kii aavaaz se uThaa
Obaidullah Aleem
Sher
saaf jazbo.n ke havaale se to Gam hai.n lekin
ek lamhe kii KHushii ek sadii rahtii hai
Zafar Imam
Sher
go mujhe ehsaas-e-tanhaa.ii rahaa shiddat ke saath
kaaT dii aadhii sadii ek ajnabii aurat ke saath
Anwar Shuoor
Sher
kah do 'miir'-o-'Gaalib' se ham bhii sher kahte hai.n
vo sadii tumhaarii thii ye sadii hamaarii hai
Manzar Bhopali
Sher
ye saal tuul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadii kii tarah
Asrar Zaidi
Sher
KHalaa me.n tairte phirte hai.n haath pak.De hu.e
zamii.n kii ek sadii ek saal suuraj kaa
Sanaullah Zaheer
Sher
kaaGaz kii ye mahak ye nasha ruuThne ko hai
ye aaKHirii sadii hai kitaabo.n se 'ishq kii
Saud Usmani
Sher
usii kii taal me.n gum hai sadii kaa sannaaTaa
vo ek giit abhii tak jo gungunaayaa nahii.n
Bilqees Khan
Sher
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
'anvar' KHudaa kare ki ye sachchii na ho KHabar
ikkiisvii.n sadii me.n vaDere bhii jaa.e.nge
Anwar Masood
Sher
Allama Iqbal
Sher
sadaa ek hii ruKH nahii.n naav chaltii
chalo tum udhar ko havaa ho jidhar kii
Altaf Hussain Hali
Sher
har galii kuuche me.n rone kii sadaa merii hai
shahr me.n jo bhii hu.aa hai vo KHataa merii hai