SEARCH RESULTS
Showing search results for "صفیر"
Sher MATCHES FOR "صفیر"
Sher
paas thaa naakaamii-e-sayyaad kaa ai ham-safiir
varna mai.n aur u.D ke aataa ek daane ke liye
Allama Iqbal
Sher
Safeer Bilgrami
Sher
sab ham-safiir chho.D ke tanhaa chale ga.e
kunj-e-qafas me.n mujh ko giraftaar dekh kar
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
narmii havaa kii mauj-e-tarab-KHez abhii se hai
ai ham-safiir aatish-e-gul tez abhii se hai
Aziz Hamid Madni
Sher
Safi Aurangabadi
Sher
mire labo.n kaa tabassum to sab ne dekh liyaa
jo dil pe biit rahii hai vo ko.ii kyaa jaane
Iqbal Safi Puri
Sher
likhne ko likh rahe hai.n Gazab kii kahaaniyaa.n
likkhii na jaa sakii magar apnii hii daastaa.n
Ibn-e-Safi
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
zamaane bhar se ulajhte hai.n jis kii jaanib se
akele-pan me.n use ham bhii kyaa nahii.n kahte
Sagheer Malal
Sher
ko.ii samjhaa.e ki kyaa rang hai maiKHaane kaa
aa.nkh saaqii kii uThe naam ho paimaane kaa
Iqbal Safi Puri
Sher
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko KHaraab-e-talKHii-e-hijraa.n to kiijiye
Safiya Shamim
Sher
janaaza rok kar meraa vo is andaaz se bole
galii ham ne kahii thii tum to duniyaa chho.De jaate ho
Safi Lakhnavi
Sher
banaavaT ho to aisii ho ki jis se saadgii Tapke
ziyaada ho to aslii husn chhup jaataa hai zevar se
Safi Lakhnavi
Sher
dekhe baGair haal ye hai iztiraab kaa
kyaa jaane kyaa ho parda jo uTThe naqaab kaa
Safi Lakhnavi
Sher
zamiin kii kokh hii zaKHmii nahii.n andhero.n se
hai aasmaa.n ke bhii siine pe aaftaab kaa zaKHm