SEARCH RESULTS
Showing search results for "صوت"
Sher MATCHES FOR "صوت"
Sher
be-navaa hai.n ki tujhe saut-o-navaa bhii dii hai
jis ne dil to.D diye us kii du.aa bhii dii hai
Ada Jafarey
Sher
rag-e-har-saaz ye kahtii hai ki ai naGma-taraaz
mujh ko ik saltanat-e-saut-o-sadaa chaahiye thii
Aslam Ansari
Sher
naala-e-be-saut KHud ban.ne lagaa mohr-e-sukuut
be-zabaanii ko hamaarii ab zabaa.n se kyaa Garaz
Qadr Oraizi
Sher
ik ajab kashmakash-e-saut-o-sadaa hai mujh me.n
mai.n ne aavaaz bhii dii aur kahaa kuchh bhii nahii.n
Moid Rasheedi
Sher
vo sun rahaa hai mirii be-zabaaniyo.n kii zabaa.n
jo harf-o-saut-o-sadaa-o-zabaa.n se pahle thaa
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Sher
terii suurat se kisii kii nahii.n miltii suurat
ham jahaa.n me.n tirii tasviir liye phirte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ai sanam jis ne tujhe chaa.nd sii suurat dii hai
usii allaah ne mujh ko bhii mohabbat dii hai
Haidar Ali Aatish
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
bahut dino.n se mire saath thii magar kal shaam
mujhe pataa chalaa vo kitnii KHuubsuurat hai
Bashir Badr
Sher
jis se puuchhe.n tire baare me.n yahii kahtaa hai
KHuubsuurat hai vafaadaar nahii.n ho saktaa
Abbas Tabish
Sher
sirf ha.ngaama kha.Daa karnaa miraa maqsad nahii.n
merii koshish hai ki ye suurat badalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
paal le ik rog naadaa.n zindagii ke vaaste
sirf sehhat ke sahaare umr to kaTtii nahii.n