SEARCH RESULTS
Showing search results for "طریقے"
Sher MATCHES FOR "طریقے"
Sher
aur bhii kitne tariiqe hai.n bayaan-e-Gam ke
muskuraatii hu.ii aa.nkho.n ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat
Sher
hai.n sau tariiqe aur bhii ai be-qaraar dil
iz.haar-e-shikva shikve ke andaaz me.n na ho
Manzar Lakhnavi
Sher
sab apne apne tariiqe se bhiik maa.ngte hai.n
ko.ii ba-naam-e-mohabbat ko.ii ba-jaama-e-ishq
Abid Wadood
Sher
ham ko u.Dne ke tariiqe na sikhaa.o ham log
pe.D se aa.e hai.n pi.njre se nahii.n aa.e hai.n
Saleem Siddiqui
Sher
baat karne kaa hasii.n taur-tariiqa siikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliiqa siikhaa
Manish Shukla
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Allama Iqbal
Sher
miraa tariiqa zaraa muKHtalif hai suuraj se
jahaa.n pe Duubaa vahii.n se ubharne vaalaa huu.n
Aziz Nabeel
Sher
tariiq yaad hai pahle se dil lagaane kaa
usii kaa mai.n bhii huu.n majnuu.n thaa jis gharaane kaa
Muztar Khairabadi
Sher
insaan vo kyaa jis ko na ho paas zabaa.n kaa
ye ko.ii tariiqa hai kahaa aur kiyaa aur
Zaheer Dehlvi
Sher
Akhtar Muslimi
Sher
ik tariiqa ye bhii thaa phal baa.nTte vo umr-bhar
bhaa.iyo.n ne pe.D kaaTaa aur lak.Dii baa.nT lii
Raghvendra Dwivedi
Sher
Aziz Qaisi
Sher
qahr hai tho.Dii sii bhii Gaflat tariiq-e-ishq me.n
aa.nkh jhapkii qais kii aur saamne mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
duur-az-tariiq mujh ko samajhiyo na zaahidaa
gar tuu KHudaa-parast hai mai.n but-parast huu.n
Nazeer Akbarabadi
Sher
kariim jo mujhe detaa hai baa.nT khaataa huu.n
mire tariiq me.n tanhaa-KHorii halaal nahii.n