SEARCH RESULTS
Showing search results for "طلب_گار"
Sher MATCHES FOR "طلب_گار"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
duniyaa o aaKHirat me.n talabgaar hai.n tire
haasil tujhe samajhte hai.n dono.n jahaa.n me.n ham
Haidar Ali Aatish
Sher
yaa rab tirii rahmat kaa talabgaar hai ye bhii
tho.Dii sii mire shahr ko bhii aab-o-havaa de
Wazir Agha
Sher
kaisii jannat ke talabgaar hai.n tuu jaantaa hai
terii likkhii hu.ii duniyaa ko miTaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
ham to manzil ke talabgaar the lekin manzil
aage ba.Dhtii hai ga.ii raahguzar kii suurat
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
qadmo.n me.n saa.e kii tarah rau.nde ga.e hai.n ham
ham se ziyaada teraa talabgaar kaun hai
Saleem Kausar
Sher
mehnat ho musiibat ho sitam ho to mazaa hai
milnaa tiraa aasaa.n hai talabgaar bahut hai.n
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
dariyaa-e-sharaab us ne bahaayaa hai hamesha
saaqii se jo kashtii ke talabgaar hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
zahe-nasiib ki duniyaa ne tere Gam ne mujhe
masarrato.n kaa talabgaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
umr sab zauq-e-tamaashaa me.n guzaarii lekin
aaj tak ye na khulaa kis ke talabgaar hai.n ham
Muztar Khairabadi
Sher
laa.ii hai kahaa.n mujh ko tabii.at kii do-ra.ngii
duniyaa kaa talabgaar bhii duniyaa se KHafaa bhii
Midhat-ul-Akhtar
Sher
mai-kasho der hai kyaa daur chale bismillaah
aa.ii hai shiisha-o-saaGar kii talabgaar ghaTaa
Aagha Akbarabadi
Sher
is KHuubi-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai
vo shaKHs mirii jaa.n kaa talabgaar hu.aa hai
Tanveer Anjum
Sher
zaahido.n se na banii hashr ke din bhii yaa-rab
vo kha.De hai.n tirii rahmat ke talabgaar judaa