SEARCH RESULTS
Showing search results for "طیب"
Sher MATCHES FOR "طیب"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hogaa kisii diivaar ke saa.e me.n pa.Daa 'miir'
kyaa rabt mohabbat se us aaraam-talab ko
Meer Taqi Meer
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.n KHuun-e-jigar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
Parveen Shakir
Sher
ko.ii charaag jalaataa nahii.n saliiqe se
magar sabhii ko shikaayat havaa se hotii hai
Khurshid Talab
Sher
yaa tere alaava bhii kisii shai kii talab hai
yaa apnii mohabbat pe bharosaa nahii.n ham ko
Shahryar
Sher
roz diivaar me.n chun detaa huu.n mai.n apnii anaa
roz vo to.D ke diivaar nikal aatii hai
Khurshid Talab
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
diidaar kii talab ke tariiqo.n se be-KHabar
diidaar kii talab hai to pahle nigaah maa.ng
Azad Ansari
Sher
hame.n har vaqt ye ehsaas daaman-giir rahtaa hai
pa.De hai.n Dher saare kaam aur mohlat zaraa sii hai
Khurshid Talab
Sher
Abbas Rizvi
Sher
agar sharar hai to bha.Dke jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere ra.ng-e-lab se hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
tadbiir mere ishq kii kyaa faa.eda tabiib
ab jaan hii ke saath ye aazaar jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii