SEARCH RESULTS
Showing search results for "عاجزی"
Sher MATCHES FOR "عاجزی"
Sher
zinda rakhii.n buzurgo.n kii ham ne rivaayate.n
dushman se bhii mile to mile aajizii se ham
Majid Ali Kavish
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
ashk agar sab ne likhe mai.n ne sitaare likkhe
aajizii sab ne likhii mai.n ne ibaadat likkhaa
Azm Bahzad
Sher
Guruur bhii jo karuu.n mai.n to aajizii ho jaa.e
KHudii me.n lutf vo aa.e ki be-KHudii ho jaa.e
Riyaz Khairabadi
Sher
is tarah munsalik hu.aa urdu zabaan se
miltaa huu.n ab sabhii se ba.Dii aajizii ke saath
Bashir Mehtaab
Sher
aajizii aaj hai mumkin hai na ho kal mujh me.n
is tarah aib nikaalo na musalsal mujh me.n
Nusrat Mehdi
Sher
mujh ko saadaat kii nisbat ke sabab mere KHudaa
aajizii denaa takabbur kii adaa mat denaa
Seen Sheen Alam
Sher
aajizii baKHshii ga.ii tamkanat-e-faqr ke saath
dene vaale ne hame.n kaun sii daulat nahii.n dii
Iftikhar Arif
Sher
ab dekhnaa hai mujh ko tire aastaa.n kaa zarf
sar ko jhukaa rahaa huu.n ba.Dii aajizii ke saath
Aulad Ali Rizvi
Sher
bandisho.n ko to.Dne kii koshishe.n kartii hu.ii
sar paTaktii lahr terii aajizii achchhii lagii
Aleena Itrat
Sher
rag.Dii hai.n e.Diyaa.n to hu.ii hai ye mustajaab
kis aajizii se kii hai du.aa kuchh na puuchhiye
Agha Hajju Sharaf
Sher
aajizii kahne lagii gar ho bulandii kii talab
dil jhukaa daa.ira-e-na.ara-e-takbiir me.n aa
Nadeem Sirsivi
Sher
kisii ke raaste kii KHaak me.n pa.De hai.n 'zafar'
mataa-e-umr yahii aajizii nikaltii hai