SEARCH RESULTS
Showing search results for "عبارت"
Sher MATCHES FOR "عبارت"
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tuu na mar jaa.e
ki zindagaanii ibaarat hai tere jiine se
Khwaja Meer Dard
Sher
ashko.n ke nishaa.n parcha-e-saada pe hai.n qaasid
ab kuchh na bayaa.n kar ye ibaarat hii bahut hai
Ehsan Ali Khan
Sher
zalzala aayaa aur aa kar ho gayaa ruKHsat magar
vaqt ke ruKH par tabaahii kii ibaarat likh gayaa
Faraz Hamidi
Sher
laakh ham sher kahe.n laakh ibaarat likkhe.n
baat vo hai jo tire dil me.n jagah paatii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dulhan kii meh.ndii jaisii hai urdu zabaa.n kii shakl
KHushbuu bikhertaa hai ibaarat kaa harf harf
Sandeep Gupte
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
ye zindagii jise Dhuu.nDaa thaa aasmaano.n me.n
havaa ke haath pe likkhii hu.ii ibaarat thii
Kishwar Naheed
Sher
mai.n ki ek mehnat-kash mai.n ki tiirgii-dushman
sub.h-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se
Majrooh Sultanpuri
Sher
havaa se kah do ki kuchh der ko Thahar jaa.e
KHajil hamaarii ibaarat havaa se hotii hai
Khurshid Talab
Sher
Qabil Ajmeri
Sher
tum the to har ik dard tumhii.n se thaa ibaarat
ab zindagii KHaano.n me.n basar hone lagii hai
Sarfaraz Khalid
Sher
hamaare ishq se dard-e-jahaa.n ibaarat hai
hamaaraa ishq havas se buland-o-baalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
hamaare lafz aa.inda zamaano.n se ibaarat hai.n
pa.Dhaa jaa.egaa kal jo aaj vo tahriir karte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
miTtii nahii.n taariiKH se ko.ii bhii ibaarat
taariiKH likhegii ki likhaa kaaT rahe hai.n
Ehya Bhojpuri
Sher
har ek harf se jiine kaa fan numaayaa.n ho
kuchh is tarah kii ibaarat nisaab me.n likhiye