SEARCH RESULTS
Showing search results for "عریاں"
Sher MATCHES FOR "عریاں"
Sher
ashko.n ke tasalsul ne chhupaayaa tan-e-uryaa.n
ye aab-e-ravaa.n kaa hai nayaa pairahan apnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
shaaKH-e-uriyaa.n par khilaa ik phuul is andaaz se
jis tarah taaza lahuu chamke na.ii talvaar par
Mohsin Naqvi
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
uryaa.n haraarat-e-tap-e-furqat se mai.n rahaa
har baar mere jism kii poshaak jal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
shukr hai jaama se baahar vo hu.aa Gusse me.n
jo ki parde me.n bhii uryaa.n na hu.aa thaa so hu.aa
Muneer Shikohabadi
Sher
mai.n us ke saamne uryaa.n laguu.ngii duniyaa ko
vo mere jism ko meraa libaas kar degaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
Ismail Merathi
Sher
khulne se ek jism ke sau aib Dhak ga.e
uryaa.n-tanii bhii josh-e-junuu.n me.n libaas hai
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Aagha Akbarabadi
Sher
kaun is rang se jaame se hu.aa thaa baahar
kis se siikhaa tirii talvaar ne uryaa.n honaa
Natiq Gulavthi
Sher
uryaa.n na vo nahaayaa hammaam ho ki dariyaa
chashm-e-hubaab ne bhii us kaa badan na dekhaa
Shuoor Bilgrami
Sher
sab luTaa ishq ke maidaan me.n uryaa.n aayaa
rah gayaa paas mire daaman-e-sahraa baaqii
Meer Mohammadi Bedar
Sher
kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse
ham zindagii me.n phir ko.ii armaa.n na kar sake
Sahir Ludhianvi
Sher
Akhtar Shirani
Sher
dil me.n vo bhii.D hai ki zaraa bhii nahii.n jagah
aap aa.iye magar ko.ii armaa.n nikaal ke