SEARCH RESULTS
Showing search results for "عنبر"
Sher MATCHES FOR "عنبر"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
mushkil ko samajhne kaa vasiila nikal aataa
tum baat to karte ko.ii rasta nikal aataa
Ambar Kharbanda
Sher
duniyaa to ham se haath milaane ko aa.ii thii
ham ne hii e.atibaar dobaara nahii.n kiyaa
Ambareen Haseeb ambar
Sher
mai.n jo.D to detaa tirii tasviir ke Tuk.De
mushkil thaa ki vo pahlaa saa chehra nikal aataa
Ambar Kharbanda
Sher
har ik nadii se ka.Dii pyaas le ke vo guzraa
ye aur baat ki vo KHud bhii ek dariyaa thaa
Ambar Bahraichi
Sher
ye sach hai rang badaltaa thaa vo har ik lamha
magar vahii to bahut kaamyaab chehraa thaa
Ambar Bahraichi
Sher
faisla bichha.Dne kaa kar liyaa hai jab tum ne
phir mirii tamannaa kyaa phir mirii ijaazat kyuu.n
Ambareen Haseeb ambar
Sher
ab ke ham ne bhii diyaa tark-e-ta.alluq kaa javaab
ho.nT KHaamosh rahe aa.nkh ne baarish nahii.n kii
Ambareen Haseeb ambar
Sher
mujh me.n ab mai.n nahii.n rahii baaqii
mai.n ne chaahaa hai is qadar tum ko
Ambareen Haseeb ambar
Sher
u.D ga.e saare parinde mausamo.n kii chaah me.n
intizaar un kaa magar buu.Dhe shajar karte rahe
Ambareen Haseeb ambar
Sher
is aarzii duniyaa me.n har baat adhuurii hai
har jiit hai laa-haasil har maat adhuurii hai
Ambareen Haseeb ambar
Sher
umr-bhar ke sajdo.n se mil nahii.n sakii jannat
KHuld se nikalne ko ik gunaah kaafii hai
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Ambareen Haseeb ambar
Sher
tum ne kis kaifiyat me.n muKHaatab kiyaa
kaif detaa rahaa lafz-e-'tuu' der tak
Ambareen Haseeb ambar
Sher
baahar saare maidaa.n jiit chukaa thaa vo
ghar lauTaa to pal bhar me.n hii TuuTaa thaa
Ambar Bahraichi
Sher
meraa karb mirii tanhaa.ii kii ziinat
mai.n chehro.n ke jangal kaa sannaaTaa huu.n
Ambar Bahraichi
Sher
dhyaan me.n aa kar baiTh ga.e ho tum bhii naa.n
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhii naa.n
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Ambareen Haseeb ambar
Sher
ye kah ke us ne gul kiyaa sham-e-mazaar ko
jab so ga.e to kyaa hai zaruurat charaaG kii