SEARCH RESULTS
Showing search results for "عوض"
Sher MATCHES FOR "عوض"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Nida Fazli
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
rago.n me.n dau.Dtii hai.n bijliyaa.n lahuu ke evaz
shabaab kahte hai.n jis chiiz ko qayaamat hai
Akhtar Ansari
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
us ke va.ade ke evaz de Daalii apnii zindagii
ek sastii shai kaa uu.nche bhaav saudaa kar liyaa
Tufail Chaturvedi
Sher
Karrar Noori
Sher
zar diyaa zor diyaa maal diyaa ganj diye
ai falak kaun se raahat ke evaz ranj diye
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
in buto.n ko to mire saath mohabbat hotii
kaash bantaa mai.n barahman hii musalmaa.n ke evaz
Taban Abdul Hai
Sher
kyaa musiibat hai ki har din kii mashaqqat ke evaz
baa.ndh jaataa hai ko.ii raat kaa patthar mujh se
Afzal Gauhar Rao
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
har she'r mujh ko KHuun-e-jigar ke 'evaz milaa
ye fan kisii ke dar se udhaaraa nahii.n milaa