SEARCH RESULTS
Showing search results for "غصے"
Sher MATCHES FOR "غصے"
Sher
is tarah mere gunaaho.n ko vo dho detii hai
maa.n bahut Gusse me.n hotii hai to ro detii hai
Munawwar Rana
Sher
Gusse me.n barhamii me.n Gazab me.n itaab me.n
KHud aa ga.e hai.n vo mire KHat ke javaab me.n
Divakar Rahi
Sher
ba.De hii Gusse me.n ye kah ke us ne vasl kiyaa
mujhe to tum se ko.ii baat hii nahii.n karnii
Swapnil Tiwari
Sher
vo Gusse me.n siidhii baat nahii.n kartaa
tuufaano.n me.n baarish tirchhii hotii hai
Ankit Maurya
Sher
is tarah mere gunaaho.n ko vo dho detii hai
maa.n bahut Gusse me.n hotii hai to ro detii hai
Munawwar Rana
Sher
mujh rang zard uupar Gusse sii.n laal mat ho
ai sabz shaal vaale uude rumaal vaale
Siraj Aurangabadi
Sher
Gussa qaatil kaa na ba.Dhtaa hai na kam hotaa hai
ek sar hai ki vo har roz qalam hotaa hai
Manzar Lakhnavi
Sher
ye jo duniyaa hai ise itnii ijaazat kab hai
ham pe apnii hii kisii baat kaa Gussa utraa
Abhishek Shukla
Sher
kisii buzdil kii suurat ghar se ye baahar nikaltaa hai
miraa Gussa kisii kamzor ke uupar nikaltaa hai
Azhar Nawaz
Sher
la.Dne ko us se raat mai.n Gusse me.n la.D liyaa
par jab vo uTh chalaa to kaleja paka.D liyaa