SEARCH RESULTS
Showing search results for "قبر"
Sher MATCHES FOR "قبر"
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
shukriya ai qabr tak pahu.nchaane vaalo shukriya
ab akele hii chale jaa.e.nge is manzil se ham
Qamar Jalalvi
Sher
Ahmad Salman
Sher
Muneer Niyazi
Sher
dabaa ke qabr me.n sab chal diye du.aa na salaam
zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
dafnaa diyaa gayaa mujhe chaa.ndii kii qabr me.n
mai.n jis ko chaahtii thii vo la.Dkaa Gariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
ba.ad marne ke mirii qabr pe aayaa 'Gaafil'
yaad aa.ii mire iisaa ko davaa mere ba.ad
Munawar Khan Ghafil
Sher
aanaa na mirii qabr pe hamraah-e-raqiibaa.n
murde ko musalmaa.n ke jalaayaa nahii.n karte
Unknown
Sher
charaaG us ne bujhaa bhii diyaa jalaa bhii diyaa
ye merii qabr pe manzar nayaa dikhaa bhii diyaa
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
Sher
vaqt kii qabr me.n ulfat kaa bharam rakhne ko
apnii hii laash utaarii hai tumhe.n kyaa ma.aluum
Ahmad Rahi
Sher
marne ke baa'd KHud hii bikhar jaa.uu.ngaa kahii.n
ab qabr kyaa banegii agar ghar nahii.n banaa
Bedil Haidri
Sher
qabr me.n raahat se so.e the na thaa mahshar kaa KHauf
ba.az aa.e ai masiihaa ham tire e.ajaaz se