SEARCH RESULTS
Showing search results for "قصر_امل"
Sher MATCHES FOR "قصر_امل"
Sher
himmat kaa zaahido.n kii saraasar qusuur thaa
mai-KHaana KHaanqaah se aisaa na duur thaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
isii qadar hai hayaat o ajal ke biich kaa farq
ye ek dhuup kaa dariyaa vo ik kinaara-e-shaam
Ain Tabish
Sher
husn-e-amal pe apne na bhuul is qadar ki shaiKH
vaa.n ke mu.aamle se kisii ko KHabar nahii.n
Nawal Rai Vafa
Sher
tamaam umr ga.nvaa dii jise bhulaane me.n
vo nisf maazii kaa qissa thaa nisf haal kaa thaa
Inam-ul-Haq Javed
Sher
vo boltaa hai nigaaho.n se is qadar urdu
KHamosh rah ke bhii ahl-e-zabaa.n saa lagtaa hai
Unknown
Sher
Saleem Ahmed
Sher
hu.e is qadar mohazzab kabhii ghar kaa mu.nh na dekhaa
kaTii umr hoTalo.n me.n mare aspataal jaa kar
Akbar Allahabadi
Sher
ahvaal-e-'miir' kyuu.nkar aaKHir ho ek shab me.n
ik umr ham ye qissa tum se kahaa kare.nge
Meer Taqi Meer
Sher
ham to vahaa.n pahu.nch nahii.n sakte tamaam umr
aa.nkho.n ne itnii duur Thikaane banaa.e hai.n
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
ham us ko saarii umr uThaa.e phiraa kiye
jo baar 'miir' se bhii uThaayaa na jaa sakaa
Tariq Qamar
Sher
us ik diye se hu.e kis qadar diye raushan
vo ik diyaa jo kabhii baam-o-dar me.n tanhaa thaa
Umar Ansari
Sher
zindagii ne miraa piichhaa nahii.n chho.Daa ab tak
umr bhar sar se na utrii ye balaa kaisii thii
Qaisarul Jafri
Sher
is qadar kii sarf tasKHiir-e-parii-ruuyaa.n me.n umr
rafta rafta naam meraa ab parii-KHvaa.n ho gayaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
maal-o-zar kii qadr kyaa? KHuun-e-jigar ke saamne
ahl-e-duniyaa hech hai.n ahl-e-hunar ke saamne