SEARCH RESULTS
Showing search results for "قضا"
Sher MATCHES FOR "قضا"
Sher
laa.ii hayaat aa.e qazaa le chalii chale
apnii KHushii na aa.e na apnii KHushii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
un ras bharii aa.nkho.n me.n hayaa khel rahii hai
do zahr ke pyaalo.n me.n qazaa khel rahii hai
Akhtar Shirani
Sher
aa.nkhe.n na jiine de.ngii tirii be-vafaa mujhe
kyuu.n khi.Dkiyo.n se jhaa.nk rahii hai qazaa mujhe
Imdad Ali Bahr
Sher
namaaz apnii agarche kabhii qazaa na hu.ii
adaa kisii kii jo dekhii to phir adaa na hu.ii
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
ba.Dii talaash se miltii hai zindagii ai dost
qazaa kii tarah pataa puuchhtii nahii.n aatii
Shaanul Haq Haqqi
Sher
bahr-e-ayaadat aa.e vo lekin qazaa ke saath
dam hii nikal gayaa miraa aavaaz-e-paa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
shaayad qazaa ne mujh ko KHazaana banaa diyaa
aisaa nahii.n to kyuu.n mujhe dafnaa rahe hai.n log
Zubair Ali Tabish
Sher
kuchh to hai baat jo aatii hai qazaa ruk ruk ke
zindagii qarz hai qisto.n me.n adaa hotii hai
Qamar Jalalabadi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
sach hai ki ham se baat bhii karnaa namaaz hai
gar ho sake to is ko qazaa mat kiyaa karo
Zafar Iqbal
Sher
daur-e-hayaat aa.egaa qaatil qazaa ke ba.ad
hai ibtidaa hamaarii tirii intihaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
raahat ke vaaste hai mujhe aarzu-e-marg
ai 'zauq' gar jo chain na aayaa qazaa ke ba.ad
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
tuu jis ke KHvaab me.n aayaa ho vaqt-e-sub.h sanam
namaaz-e-sub.h ko kis tarah vo qazaa na kare
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ai but ye hai namaaz ki hai ghaat qatl kii
niyyat adaa kii hai ki ishaare qazaa ke hai.n