SEARCH RESULTS
Showing search results for "لحاظ"
Sher MATCHES FOR "لحاظ"
Sher
vo vaqt kaa jahaaz thaa kartaa lihaaz kyaa
mai.n dosto.n se haath milaane me.n rah gayaa
Hafeez Merathi
Sher
KHaatir se yaa lihaaz se mai.n maan to gayaa
jhuuTii qasam se aap kaa iimaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
kahii.n na un kii nazar se nazar kisii kii la.De
vo is lihaaz se aa.nkhe.n jhukaa.e baiThe hai.n
Nooh Narvi
Sher
mu.nh pher kar vo kahte hai.n bas maan jaa.iye
is sharm is lihaaz ke qurbaan jaa.iye
Bekhud Dehlvi
Sher
phir mujh se is tarah kii na kiijegaa dil-lagii
KHair is gha.Dii to aap kaa mai.n kar gayaa lihaaz
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
aa.nkho.n me.n hai lihaaz tabassum-fizaa hai.n lab
shukr-e-KHudaa ke aaj to kuchh raah par hai.n aap
Naseem Dehlvi
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
aate nahii.n hai.n diida-giryaa.n ke saamne
baadal bhii karte hai.n mirii barsaat kaa lihaaz
Muneer Shikohabadi
Sher
baunaa thaa vo zaruur magar is ke baavajuud
kirdaar ke lihaaz se qad kaa buland thaa
Yusuf Jamal
Sher
ka.abe me.n ham ko dair kaa har dam KHayaal thaa
allaah jaantaa hai buto.n kaa rahaa lihaaz
Hatim Ali Mehr
Sher
'Gaalib' ke martabe se ye vaaqif nahii.n 'asad'
ye bad-lihaaz nasl hai ahd-e-jadiid kii
Asad Awan
Sher
vo mujh ko Dastaa hai par zahr chho.Dtaa hii nahii.n
lihaaz rakhtaa hai kuchh aastii.n me.n palne kaa
Meraj Naqvi
Sher
vo sardiyo.n kii dhuup kii tarah Guruub ho gayaa
lipaT rahii hai yaad jism se lihaaf kii tarah
Musavvir Sabzwari
Sher
suuraj lihaaf o.Dh ke soyaa tamaam raat
sardii se ik parinda dariiche me.n mar gayaa
Athar Nasik
Sher
jaa.Do.n me.n hai ye rang ki apne lihaaf ke
buuTe jo mo.ngiyaa hai.n to maashii zamiin hai