SEARCH RESULTS
Showing search results for "مادی"
Sher MATCHES FOR "مادی"
Sher
churaa ke muTThii me.n dil ko chhupaa.e baiThe hai.n
bahaanaa ye hai ki meh.ndii lagaa.e baiThe hai.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
sailaab-e-zindagii ke sahaare ba.Dhe chalo
saahil pe rahne vaalo.n kaa naam-o-nishaa.n nahii.n
Baqar Mehdi
Sher
kuchh arz-e-tamannaa me.n shikva na sitam kaa thaa
mai.n ne to kahaa kyaa thaa aur aap ne kyaa jaanaa
Meer Mehdi Majrooh
Sher
in me.n kyaa farq hai ab is kaa bhii ehsaas nahii.n
dard aur dil kaa zaraa dekhiye yaksaa.n honaa
S A Mehdi
Sher
faasle aise ki ik umr me.n tai ho na sake.n
qurbate.n aisii ki KHud mujh me.n janam hai us kaa
Baqar Mehdi
Sher
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ik zaraa teG-e-nigah ko jo ishaaraa ho jaa.e
aap kaa naam ho aur kaam hamaaraa ho jaa.e
Mehdi Ali Khan Zaki Lakhnavi
Sher
takoge raah sahaaro.n kii tum miyaa.n kab tak
qadam uThaa.o ki taqdiir intizaar me.n hai
Tabish Mehdi
Sher
shaGl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hai.n
kuchh samajh me.n nahii.n aataa ki ye kyaa kahte hai.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
aajizii aaj hai mumkin hai na ho kal mujh me.n
is tarah aib nikaalo na musalsal mujh me.n
Nusrat Mehdi
Sher
ai rashk-e-maah raat ko muTThii na kholnaa
mehdii kaa chor haath se jaa.e na chhuuT ke