SEARCH RESULTS
Showing search results for "مایوسی"
Sher MATCHES FOR "مایوسی"
Sher
Anwar Jamal Anwar
Sher
'shakiil' is darja maayuusii shuruu-e-ishq me.n kaisii
abhii to aur honaa hai KHaraab aahista aahista
Shakeel Badayuni
Sher
ranj-o-Gam Thokare.n maayuusii ghuTan be-zaarii
mere KHvaabo.n kii ye ta.abiir bhii ho saktii hai
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
vahii maayuusii kaa aalam vahii naumiidii kaa ra.ng
zindagii bhii kisii muflis kii du.aa ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
na samjhe ashk-fishaanii ko ko.ii maayuusii
hai dil me.n aag agar aa.nkh me.n bhii paanii hai
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
nii.nd rakkho yaa na rakkho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
inqalaab aa.egaa raftaar se maayuus na ho
bahut aahista nahii.n hai jo bahut tez nahii.n
Ali Sardar Jafri
Sher
Munawwar Rana
Sher
maujo.n kii siyaasat se maayuus na ho 'faanii'
girdaab kii har tah me.n saahil nazar aataa hai
Fani Badayuni
Sher
maayuusii-e-ma.aal-e-mohabbat na puuchhiye
apno.n se pesh aa.e hai.n begaanagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
yaa-rab tirii rahmat se maayuus nahii.n 'faanii'
lekin tirii rahmat kii taaKHiir ko kyaa kahiye
Fani Badayuni
Sher
jis kii adaa adaa pe ho insaaniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisaa bashar Dhuu.nDte hai.n ham