SEARCH RESULTS
Showing search results for "مجرم"
Sher MATCHES FOR "مجرم"
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujrim hai.n agar ham to sazaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
Neelma Naheed Durrani
Sher
apnii aa.nkho.n ke samundar me.n utar jaane de
teraa mujrim huu.n mujhe Duub ke mar jaane de
Nazeer Baaqri
Sher
sab apnii zaat me.n ik anjuman ke mujrim hai.n
kisii vajuud me.n kuchh fard jaisaa hai hii nahii.n
Akash Arsh
Sher
mujrim huu.n mai.n agar to gunahgaar tum bhii ho
ai rahbaraan-e-qaum KHataa-kaar tum bhii ho
Sahir Ludhianvi
Sher
hai zeb-e-guluu kab se mire daar kaa phandaa
mujrim huu.n agar mai.n to sazaa kyuu.n nahii.n dete
Kaleem Usmani
Sher
kyaa faisla diyaa hai adaalat ne chho.Diye
mujrim to apne jurm kaa iqbaal kar gayaa
Afzal Minhas
Sher
apnii laGzish ko to ilzaam na degaa ko.ii
log thak-haar ke mujrim hame.n Thahraa.e.nge
Farooq Shafaq
Sher
mai.n tark-e-ta.alluq par zinda huu.n so mujrim huu.n
kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa
Azm Bahzad
Sher
Ilyas Ishqi
Sher
lamha munsif bhii hai mujrim bhii hai majbuurii kaa
faa.eda shak kaa mujhe de ke barii kar jaa.e
Aftab Iqbal Shamim
Sher
tum un ko sazaa kyuu.n nahii.n dete ki jinho.n ne
mujrim kaa zamiir aur sukuu.n luuT liyaa hai
Afzal Parvez
Sher
Salik Lakhnavi
Sher
savaal kaun uThaa.egaa munsifo.n pe huzuur
barii hu.e sabhii mujrim gavaah qaid me.n hai