SEARCH RESULTS
Showing search results for "محاسبہ"
Sher MATCHES FOR "محاسبہ"
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
aurat ho tum to tum pe munaasib hai chup raho
ye bol KHaandaan kii izzat pe harf hai
Sayyada Arshia Haq
Sher
Javed Akhtar
Sher
ai mohtasib na phe.nk mire mohtasib na phe.nk
zaalim sharaab hai are zaalim sharaab hai
Jigar Moradabadi
Sher
sataayaa aaj munaasib jagah pe baarish ne
isii bahaane Thahar jaa.e.n us kaa ghar hai yahaa.n
Iqbal Ashhar Quraishi
Sher
aa.ii jab un kii yaad to aatii chalii ga.ii
har naqsh-e-maa-sivaa ko miTaatii chalii ga.ii
Jigar Moradabadi
Sher
ham mai-kasho.n ko Dar nahii.n marne kaa mohtasib
firdaus me.n bhii sunte hai.n nahr-e-sharaab hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
vo maathaa kaa matl.a ho ki ho.nTho.n ke do misre
bachpan se Gazal hii merii mahbuuba rahii hai
Bashir Badr
Sher
tere andar kii udaasii ke mushaabah huu.n mai.n
KHaal-o-KHad se nahii.n aavaaz se pahchaan mujhe
Anjum Saleemi
Sher
Mohsin Kakorvi
Sher
mohtasib tasbiih ke daano.n pe ye gintaa rahaa
kin ne pii kin ne na pii kin kin ke aage jaam thaa
Saail Dehlvi
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
dil ko samjhaa le.n abhii se to munaasib hogaa
ik na ik roz to va.ade se mukarnaa hai use
Sada Ambalvi
Sher
aksar hu.aa hai ye ki KHud apnii talaash me.n
aage nikal ga.e hai.n had-e-maa-sivaa se bhii
Umar Ansari
Sher
taaziir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
ba.Dhtaa hai aur zauq-e-gunah yaa.n sazaa ke ba.ad
Altaf Hussain Hali
Sher
Hasrat Azimabadi
Sher
tark-e-sharaab bhii jo karuu.ngaa to mohtasib
to.Duu.ngaa tere sar se piyaala sharaab kaa