SEARCH RESULTS
Showing search results for "محدودیت"
Sher MATCHES FOR "محدودیت"
Sher
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko
KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko
Zeeshan Sahil
Sher
yaad aur un kii yaad kii allaah-re mahviyat
jaise tamaam umr kii fursat KHariid lii
Mael Lakhnavi
Sher
agar KHamosh rahuu.n mai.n to tuu hii sab kuchh hai
jo kuchh kahaa to tiraa husn ho gayaa mahduud
Mahirul Qadri
Sher
daastaan-e-husn jab phailii to laa-mahduud thii
aur jab simTii to teraa naam ho kar rah ga.ii
Ali Ahmad Rifat
Sher
Tanveer Sipra
Sher
har vaqt mahviyat hai yahii sochtaa huu.n mai.n
kyuu.n barq ne jalaayaa miraa aashiyaa.n na puuchh
Qamar Jalalvi
Sher
niilii chhat pe laa-mahduud parinde the
aaj kisii ne ashk bahaa kar raqs kiyaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
dil-e-vaarufta-e-diidaar kii allaah re mahviyyat
tasavvur me.n tire vo terii suurat bhuul jaataa hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
vo kahaa.n dard jo dil me.n tire mahduud rahaa
dard vo hai jo dil-e-kaun-o-makaa.n tak pahu.nche
Ravish Siddiqi
Sher
jo raah ahl-e-KHirad ke liye hai laa-mahduud
junuun-e-ishq me.n vo chand gaam hotii hai
Ravish Siddiqi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
ye mahr-o-maah-o-kavaakib kii bazm-e-laa-mahduud
salaa-e-daavat-e-parvaaz hai bashar ke liye