SEARCH RESULTS
Showing search results for "محمل"
Sher MATCHES FOR "محمل"
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne mahmil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
qahr hai tho.Dii sii bhii Gaflat tariiq-e-ishq me.n
aa.nkh jhapkii qais kii aur saamne mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
bhaTkaa phire hai majnuu.n lailaa ke qaafile me.n
ye puuchhtaa ki yaaro mahmil kidhar gayaa hai
Lala Kanji Mal Saba
Sher
ishq kii betaabiyo.n par husn ko rahm aa gayaa
jab nigaah-e-shauq ta.Dpii parda-e-mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
qais ne parda-e-mahmil ko jo dekhaa to kahaa
ye bhii allaah kare meraa garebaa.n ho jaa.e
Muztar Khairabadi
Sher
Naseem Bharat Puri
Sher
agar uryaanii-e-majnuu.n pe aataa rahm lailaa ko
banaa detii qabaa vo chaak kar ke parda mahmil kaa
Munawar Khan Ghafil
Sher
kaa.nTo.n pe misl-e-qais kahaa.n tak ravaa.n-davaa.n
lailaa-e-jaa.n hai jism kii mahmil se dil uchaaT
Imdad Ali Bahr
Sher
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
le qais KHabar mahmil-e-lailaa to na hove
is dasht se aatii hai kuchh aavaaz-e-daraa garm
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
fariyaad ko majnuu.n kii sune kaun jahaa.n ho.n
likkhuu.n dil-e-naalaa.n jaras-e-mahmil-e-lailaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
uf ye daraaz-dastii-e-armaan-e-musht-e-KHaak
mahmil me.n gard pa.Dtii hai lailaa kahaa.n rahe
Ijtiba Rizvi
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Syed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
Sher
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n