SEARCH RESULTS
Showing search results for "مرحبا"
Sher MATCHES FOR "مرحبا"
Sher
rahe na jaan to qaatil ko KHuu.n-bahaa diije
kaTe zabaan to KHanjar ko marhabaa kahiye
Mirza Ghalib
Sher
phailaa fazaa me.n naGma-e-zanjiir-e-marhabaa
zindaa.n me.n ghuT ke rah na sakii zindagii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
Unknown
Sher
ta.alluq to.Dne me.n pahl mushkil marhala thaa
chalo ham ne tumhaaraa bojh halkaa kar diyaa hai
Hasan Abbas Raza
Sher
ishq kaa ab martaba pahu.nchaa muqaabil husn ke
ban ga.e but ham bhii aaKHir us sanam kii yaad me.n
Meer Hasan
Sher
baarish kii bahut tez havaa me.n kahii.n mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne kii tarah kaa
Zafar Iqbal
Sher
mai.n sa.ng-e-rah nahii.n jo uThaa kar tuu phe.nk de
mai.n aisaa marhala huu.n jo sau baar aa.egaa
Musavvir Sabzwari
Sher
baaqii abhii hai karb kaa ik aur marhala
mahsuus jo kiyaa hai use sochnaa bhii hai
Anwar Alam Siddqui
Sher
mai.n KHud ko dekhtaa huu.n aur bhii hiqaarat se
jab apnaa martaba tasliim karne lagtaa huu.n
Akash Arsh
Sher
ye marhala bhii kisii imtihaa.n se kam to nahii.n
vo shaKHs mujh pe bahut e'tibaar kartaa hai