SEARCH RESULTS
Showing search results for "مزدور"
Sher MATCHES FOR "مزدور"
Sher
so jaate hai.n footpath pe aKHbaar bichhaa kar
mazduur kabhii nii.nd kii golii nahii.n khaate
Munawwar Rana
Sher
kuchal kuchal ke na foot-paath ko chalo itnaa
yahaa.n pe raat ko mazduur KHvaab dekhte hai.n
Ahmad Salman
Sher
aane vaale jaane vaale har zamaane ke liye
aadmii mazduur hai raahe.n banaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
Unknown
Sher
tuu qaadir o aadil hai magar tere jahaa.n me.n
hai.n talKH bahut banda-e-mazduur ke auqaat
Allama Iqbal
Sher
Jameel Mazhari
Sher
Obaidur Rahman
Sher
pe.D ke niiche zaraa sii chhaa.nv jo us ko milii
so gayaa mazduur tan par boriyaa o.Dhe hu.e
Sharib Mauranwi
Sher
Shabnam Rumani
Sher
Anwar Masood
Sher
zindagii ab is qadar saffaak ho jaa.egii kyaa
bhuuk hii mazduur kii KHuuraak ho jaa.egii kyaa
Raza Mauranvi
Sher
Nafas Ambalvi
Sher
jaan ham kaar-e-mohabbat kaa sila chaahte the
dil-e-saada ko.ii mazduur hai ujrat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
daulat kaa falak to.D ke aalam kii jabii.n par
mazduur kii qismat ke sitaare nikal aa.e
Nushur Wahidi
Sher
KHuun mazduur kaa miltaa jo na ta.amiiro.n me.n
na havelii na mahal aur na ko.ii ghar hotaa
Haidar Ali Jafri
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
saro.n pe o.Dh ke mazduur dhuup kii chaadar
KHud apne sar pe use saa.ebaa.n samajhne lage