SEARCH RESULTS
Showing search results for "مسدود"
Sher MATCHES FOR "مسدود"
Sher
sohbat-e-vasl hai masduud hai.n dar haa.e hijaab
nahii.n maaluum ye kis aah se sharam aatii hai
Shad Lakhnavi
Sher
raste faraar ke sabhii masduud to na the
apnii shikast kaa mujhe kyuu.n e'tiraaf thaa
Ashar Najmi
Sher
yaarab kase hai naaqa har Guncha is chaman kaa
raah-e-vafaa ko ham to masduud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Farhan Hanif Warsi
Sher
is vaqt vahaa.n kaun dhu.aa.n dekhne jaa.e
aKHbaar me.n pa.Dh le.nge kahaa.n aag lagii thii
Anwar Masood
Sher
dil sulagtaa hai tire sard ravayye se miraa
dekh ab barf ne kyaa aag lagaa rakkhii hai
Anwar Masood
Sher
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko
KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko
Zeeshan Sahil
Sher
Anwar Masood
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
sirf mehnat kyaa hai 'anvar' kaamyaabii ke liye
ko.ii uupar se bhii telephone honaa chaahiye
Anwar Masood
Sher
aasmaa.n apne iraado.n me.n magan hai lekin
aadmii apne KHayaalaat liye phirtaa hai
Anwar Masood
Sher
aa.ina dekh zaraa kyaa mai.n Galat kahtaa huu.n
tuu ne KHud se bhii ko.ii baat chhupaa rakkhii hai